Muhabbaton Mein Kuch Aise BHi kamal Hotay Hain,
Khafa Hon Jin se Un Hi Ke Khayal Hotay Hain,
Machaltay Rehtay Hain Zehnon Mein Waswason Ki Tarah,
Haseen Log Bhi Jaan Ke Wabaal Hotay Hain,
Main Dil Ka Zakham Chupaon Teri Tarah Kaise,
K Tere Paas Toh Lafzon K Jaal Hotay Hain,
Bas Aik Tu HI Sabab Toh Nahi Udasi Ka,
Tarah Tarah K Dilon Ko Malal Hotay Hain,
Siyaah Raat Mein Jaltay Hain Jugnuon Ki Tarah,
Dilon K Zakham Bhi Kitnay Kamaal Hotay Hain......!!!!